Murge Ka Arranged Marriage

Murge Ka Arranged Marriage

(10-30m)   by bkdesi
 

Comedy Skits   (22124 Views 0 Comments)

Mere naam shyam sundar hain aur main ek murga hoon. Meri maa ka naam Shabri aur mere pitaji ka naam Mandinath hain. Hum Makhani Khandan ke hain aur bade hi la jawab hain.Jab mein 3 saal ka hogaya toh mujhe super uthavla dekh merey maa baap ne socha ki eske shaadi karneka time aaya hain. Us umar tak meri koi Murgifriend nahin thi. Jab bhi murgiyan ka jhund danaa chubne aata toh mein un pe dore dalta par koi mujhe dana nahin dalti. Merey ghar ke samne ek najuk si murgi rehti thi aur uska naam tha Nargis. Dana chubne jab woh bahar latak matak ke aati toh jaise gali ke saare murgon ka dil baith jaata. "Kookud Ku" ke awaaz se saara mohalla jaag uttha. Seth ki nazar toh us pe thi hain and khabar suni thi agla number uska hain tandoori banneka. Par aisa hua nahin aur woh sab afwayen thi. Chandu gym mein jaake usne 500 gm kya kam kar liye , seth ne champa ko utha liya. Champa 5 pound ki mega murgi thi. Jaise hi kisi ne daane feke woh sabko choch marke saare dane kha jaati thi.Aur kehti thi "daane daane par likha hain champa ka naam". bhagwan uski atma ko shanti de. Khair champa ne mera rasta saaf kar diya, jab tak zinda thi saare raste kharab karti thi. Maine ados pados se khabar ekkatha ki.Kisi ne usko kisi murge ke saath tadam tadi karte waqt dekha nahin tha. Kabhi koi anda giraya ho ya kisi jagah par 28 din bethni ki afwah sunai nahin di. Main khush hua, meine kahan maa jaa nargis ke ghar par. Meri maa chali gayee. Unhe Jalfreezi Khandaan ke the. Jalfrezi aur makhani khandanon kuch jyada bannti nahin thi par hum liberal the. Ab nargis ke mata pita murge toh the par agar logon ko yeh baat nahin batayee jaye toh log unhe zameen par chalne wale kavve samajhte. hay hay badsorooti ki koi seema hoti hain, woh usse paar kar chuke. Kabhi Kabhi toh mujhe diubt atta tha ki meri nargis unki aulad bhi hain yaa enhonne usse god liya. khair usse godh liya ho yaa na liya ho mujhe uski god bharni thi. uske pet mein mera anda pale eske sapane mein dekhta rehta tha. back to the story, toh meri maa unse jaake mile.

Maa: namaste , kya mein andar aaoo

Nargis ka baap bansi: aaao aaao . kaise ana hua gareeb ki kutiya mein.

Nargis ki maa punaiya: rasta bhool gayee hogi.

Maa: nahin nahin mein aap se hi milne aaee hu

Bansi: Baithiye, Kya Baat Hain. Kuch Kiya kya hum jalfreziyon ne.

Maa: Nahin Nahin. Humari aur humare putra ki badi eecha hain ki nargis mere bete ka naam ka MurgamSutra pehane

Punaiya: Kyu Appko Makhaniyon Main Koi Nahin Mili joh jalfrezi ke ghar pe aagaye

Bansi: Kitna kamata hain aapka beta

Punaiya: Muthi Bhar dane dinnka

Bansi: Baju ka vinod murga, jalfrezi hain , kabhi kabhi seth ke godown puri 2 pound ki rice bag lata hain. usne bhi haath manga hain.

Maa: Chee woh toh paap ki kamayi hain. mere beta toh zameen pe geere hue danon mein se bachata hain. Mera beta humesha haste khelte rehta hain.

Punaiya: Baju ka Murgambo toh humesha har baat per "Murgambo Khush Hua" Kehta hain. usse jyada susheel ladka nahin milaga.

woh aaya th haath mangne. hum ne kahan joh shauhar humesha khush rehta hain uske saath shadi karke kya challenge milake beti ko.

humari nargis ko challenges ka bada shauk ho. she is a winner. Waise Murgambo ki soorat dekhne layak thi jab humne usse na kahan.

usne kahan mein tum sabko dekhlunga. humne kahan haan aana shadi mein mehmaan bannke aur sabko dekhna. hahaha

Maa: Humara shyam pada likha hain

Bansi: Woh Vinod joh MIT gaya tha, Murga Institute of Technology , kabhi suna hain kya aapke bacche se. uska haath bhi humne reject kar diya,

Maa: Kyu

Bansi: GPA kam tha akhri year mein. we want the best of the best.

Maa: Hum usse apne beti ki tarah rakhenge.

Punaiya: Hay Hay kide pade tumhare muh mein. hum kya mar gaye hain, woh humari beti hain. usse naukaron ki jaroorat hain, apne ghar mein malkeen ki tarah rakhna. aisa answer chahiye humko.

Maa: Dekhiya humara beta appki beti se pyar karta hain, usko toh pucchon.

Punaiya: Arre hum uske maa baap hain. hum nargis ke baare mein jyada jante the nargis se bhi. Aur sahej kitna doge

Maa: Dahej!!

Bansi: Haan dahej , hume repeat karne ka time nahin hain. kitna doge.

Maa: Dahej ladke wale denge!!

Bansi: Haan, haan aur kam se kam 20 goni rice ki. Kamal Hain Aap Bahar board nahin padte kya.

Maa: Humari sau pushte bhi nahin laa sakti etna.

Bansi: Abhi hum kya kare eske baare mein?

When Maa told Shyam that his marriage is not possible , he broke out in to a song ..

Sad Murga song:

Zindagi Thi

Uble Ande

Khaye Nahin

Ho gaye Thande

Tere Bagair

Suney Sunday

Lage Mujhko

Ek Jaise

Monday Friday

Friday Monday

Zindagi Thi

Test Cricket

Tere Bagair

Ho gayi

One day

Bowling Khatam

Batting Khatam

Innings Meri

Ho Gayi End.

========================================================================

========================================================================

Main raste the HEART BRAKE song gaate gaate jaa rahan tha. etne mein maine dekha ki ek kavaa rasta cross kar rahan hain aur saamne se aa rahin hain doodhwale ki cycle. Maine awaaz di par kavva apne dhund mein madhosh huee jaa rahan tha..

Kavva gaate gaate jaata hain..

life mein masti hain

masti hain

masti hain

kyunke daru sasti hain

mere ghar ke saamne

hi woh bikti hain

sasti daru peeke

duniya

haseen dikhti hain

Maine socha ki kahan kavve ki jaan bachua, kapade maile ho jayenge. Par yeh kavva dekha dekha sa tha. esliye maine usko jaake

dhakka diya aur kavve ki jaan bach gayee.

murga: abbe kavve saale kya road tere baap ka hain kee aise akele duet gake chal rahan hain.

kavva: bhaiyaa mein timur tangdi hoon. aapne pehchana nahin.

murga: kaun bhai tu?

timur tangdi: main nargis ka bhai. main aaj hostel se aaya.

murga: ohh ho timur jee , aap , kahin chot toh nahin aayee

timur tangdi: nahin ek minute , didi , didi

murga to audience: aur ees ki didi thi ..nargis

nargis: ohh mujhe aane mein der ho gayi, apka bahut bahut shukriya. apne apni jaan pe khelke mere timur ko bachaya.

And then what happened can be told in a song ..

maine uske ankoh mein dekha

usne mere ankoh mein dekha

maine apna dil fath se feka

usne kiya woh ..

catch catch catch

aur main jeeta ..

pyar ka match

Fir hum jaate hain direct duet song ke upar kyunki yeh hain musical kahani..

Duet:

Murgi:

Jalfreeziyon se naa ankhiyan milana

Jalfreeziyon se naa ankhiyan milana

Murga:

Arre Zor Se Bolo

Main Makhani Hu

Arre Pyar Se Bolo

Main Makhani Hu

Murgi:

Jalfreeziyon se naa ankhiyan milana

Jalfreeziyon se naa ankhiyan milana

Murga:

Arre Shaan Se Bolo

Main Makhani Hu

Arre Aan Se Bolo

Main Makhani Hu

nargis: mere maa baap meri shaadi tujhse hone nahin denge. woh meri shaadi kisi rahees ghar ke murge ke saath karna chahte hain.

murga: toh hum kya kare

nargis: bhaag jaate hain...

murga: par kahan..

nargis: tum yeh apne dost LOCHANi se kyu nahin poochte

LOCHAN sab se hosiyar , sabse guni, atti shaktishaali aur khoobsoorat murga tha. har murgi ka dil uspar aata tha. nargis ko bhi BANSI bada pasand tha. bas baat sirf itni thi ki BANSI tha gay. uska dil murgambo pe tha.

(woh ... lochan se jaake milte...)

murga: lochani ..

lochan: main samajh gaya. tumhe bhagana hain ladki ko aur koi jagah chahiye.

murga: tumko kaise pata.

lochan: mujhe sab pata hain , kunki main hoon lochan.

murga: koi jagah toh batao.

lochan: ek swarg jaisi jagah hain jahan pe murgi ko jabardasti khilate hain. wahan ande dene ke liye tumhe protsahan milta hain. wahan jao.

murga: woh kahan hain

lochan:edhar se 2 mile par.

murga: etni door.

lochan: naale ke baju ka shortcut aur gutter ko follow karte tumhe najdik padega.

murga: jagah ka naam kya hain

lochan: koi bada sa naam hain ' chicken slaughter house'

murga: yeh slaater house ka hota hain

lochan: koi angrez ka naam hoga. tu chala jaa be. apne general knowledge mat bada.

(murga aur nargis uss jagah pe chale jaate hain)

nargis: maine etni murgiyan kabhi bhi nahin dekhi

murga: aur sab ki sab khana khake rusht pusht ho gayi

nargis: jagah bhi bahut hain.

murga: yahan hum shaadi karke sansar basayenge.

(suddenly one drunkard who hears alll this .. interrupts them)

vinoo bevda: basayenge. kitne din..

murga: kya matlab

vinoo bevda: abe ueh kasai khana hain, yaan murgiyon ka katl karte hain

murga: toh tum yahan kya kar rahein ho

vinoo bevda: main, mujhe nahin pata. main sabko kehta hoon par sab dana khane mein madhosh hain.

murga: par yeh toh salughter house hain naa. kisi angrez ke naam par.

vinoo bevda: abe german mein saltter house matlab 'kasai ka ghar'. tum bhaag jao , jis raste aaye ho waise hi nikal jaao.

bevde ke muh se daru ka baas toh tha magar ankoh mein sacchai ka tez pratap tha. turunt murga aur nargis uss ghar se bahar nikale. bahar nikalte hi..unhone ne dekha ki wahan murgambo khada hain..

murgambo: murgambo khush hua

nargis: tum yahan kya kar rahein murgambo bhaiyya

murgambo: tera bhaiyya hoga yeh murga. chal aah mere saath main teri se shaadi manayega.

(murgamba ke baju mein do gunde khade hain, ek ne nargis ki maa ko pakda hain aur ek ne murge ke baap ko)

murga: murgambo hum donon ke daddy kahan hain

murgambo: woh bole ki thandi hain es liye car main hi baithenge, bahar nahin aayenge.

nargis: ok. kya chahte ho

(murgambo murgamsutra nikal kar uski taraf aata hain.)

murgambo: pehenlo mere naam ka murgamsutro.

nargis: nahin.

(etne mein murgambo ko ek ghusa padta hain aur woh donon gunde chillane lagte)

lochan: kya maar lagi naa murgambo baby. kitni baar kahan ladkiyon ka peecha mat kar.

gunda1: police

gunda2: police

(woh donon maaon ko chod ke bhag jaate hain)

police: hum tumhe giraftar karte hain murgambo kidnapping ke ilzaam mein

murgambo: murgambo dukhi hua

nargis: tum yaha kaise bansi

lochan:main nargis ke maa ke zakhmon par namak chidakne ke liye gaya toh wahan maine murgambo ko nikal te dekha.

phir maine murgambo ka peecha kiya toh dekha ki woh aap logon ke maa baap sang yahan tha. maine turant police ko bulaya aur hua happy ending.

nargis: par maire maa baap shaadi nahin hone denge.

Nargis ki maa punaiya:nahin beti humari ankeh khool gayee. dahej thoda kaam denge toh bhi chalega. installments mein bhi chalega.

nargis: maa!!

Nargis ki maa punaiya: matlab nahin denge toh bhi chalega. tumhari khushi sab kuch hain.

nargis: aur daddy

nargis ke daddy bansi: jaisi tumhari maa ki iccha.

nargis: then happy ending

Nargis ki maa punaiya: bas sab ko kehna arrnaged marriage taki yeh sab run away story bahar naa aye

murga: ok maa. toh chalo shaadi karein.

nargis: maa , timur kahan hain.

timur on the road again..

life mein masti hain

masti hain

masti hain

kyunke daru sasti hain

mere ghar ke saamne

hi woh bikti hain

sasti daru peeke

duniya

haseen dikhti hain

(THE END)

Comedy Type: Script Length: Post date: Script Market:
Public

Copyright Statement



Comments

No comments yet, be the first to write one!

   

10-30m Comedy Skits - Murge Ka Arranged Marriage